Lyrics of Certain Nazams and Anasheed

Gunaahon Ki Aadat Chura Mere Mola

Gunaahon ki aadat chura mere mola,
Mujhe naik insaan bana mere Mola

Jo tujhko, jo teray Nabi ko pasand hai,
Mujhay aisa banda bana mere Mola,
Mujhe naik insaan bana mere Mola.

Tu masjood mera, mein sajid hoon tera,
Tu malik mein banda tera mere Mola,
Mujhay neik insan bana meray Mula.

Tu lay ga agar adl se kaam apne,
Mein hoon mustahiq naar ka mere Mola.

Jo rehmat teri shaamil-e-haal ho to,
Molaaaaa, Molaaa, Molaaa, Molaaa,
Thikana hai jannat mera mere Mola (Ameen).

Tujhe to khabar hai mein kitna bura hoon,
Tu aibun ko mere chupa meray Mola,
Mujhe naik insaan bana mere Mola.

Meri ta-qiamat jo naslein hoin Ya Rab,
Hon sab Ashiq-e-Mustafa a_0007 meray Mola,
Mujhe naik insaan bana mere Mola.

Na muhtaj kar tu, jahan mein kisi ka,
Mujhe muflisi say bacha mere Mola.

Hain kaabay pe nazrein Ubaid-e-Raza ki,
Ho maqbool har ek dua mere Mola.
Mujhe naik insaan bana mere Mola.

Rabbana Ya Rabbana

Rabbana Ya Rabbana
Ya Ilaahi Har Jaga Teri Ataa Ka Saath Ho

Rabbana Ya Rabbana, Rabana Ya Rabana
Rabana Ya Rabana, Rabbana Ya Rabbana

Ya Elahi Har Jagha Teri Ataa ka Saath ho
Jab Paray Mushkil Shahe-Mushkil Kushaa ka Saath ho

Ya Elahi Bhool Jaaon Naz?aa ki Takleef Ko
Shaadi yay-Deedar-e- Husn-e-Mustafa Ka Saath ho

Ya Elahi Gor-e-Teera Ki Jab Aaaye Sakht Raat
Unkay pyaaray Mon ki Subh-e-Jaan fiza ka Saath Ho

Ya Elahi Naama-e-Amaal Jab Khulne Lage
Aib Posh-e-Khal Saattar-e-Khata ka Saath ho

Ya Elahi Garmiye Mehshar say Jab Bharke Badan
Daman-e-Mehboob ki Thandi Hawa ka Saath Ho

Ya Elahi Jab Zubaan Bahar Aaye Pyaas say
Sahib-e-Kothar Jood-o-Sakha ka Saath Ho

Ya Elahi Jab Hisab-e-Khanda-e-Be Jaa Rulaye
Chashm-e-Giryan-e-Shafi-e-Murtaja ka Saath ho

Ya Elahi Jab par-e-Mehshar Main Shor-e-Daro Geer
Aman Dene Wale Pyaare Paishwa ka Saath ho

Ya Elahi Sard Mori Par Ho Jab Khursheed-E-Has
Sayyed-e-Be Saaya ke Zille Liwa ka Saath Ho

Ya Elahi Jab Chal-e-Tareek Rah-e-Pul Sarat
Aftab-e-Hashmi Noor Ul Huda ka Saath Ho

Ya Elahi Jab Sar-e-Shamsheer Par Chalna Pare
Rabbi Salllim Kehne Wale Gham Zada ka Saath ho

Ya ELahi Jo Duaein Naik Hum Tujhse Karain
Qudsiyon ke Lab se Aaami Raabana ka Saath ho

Ya Ilaahi Jub Raza Khaab-e-Giraa Se Sar Uthaa?e
Daulat-e-Bedaar Ishk-e-Mustafa Ka Saath Ho

Rabbana Ya Rabbana Rabbana Ya Rabbana
Rabbana Ya Rabbana Rabbana Ya Rabbana

Leave a comment